Monday, September 24, 2012

Dard Apnaataa Hai Paraaye Kaun


dard apnaataa hai paraaye kaun -2
kaun suntaa hai aur sunaaye kaun -3
kaun dohraaye puraani baaten -2
Gham abhi soyaa hai jagaaye kaun -3
vo jo apne hain, kyaa vo apne hain -2
kaun dukh jhele, aazmaaye kaun -3
ab sukuN hai to bhoolne mein hain -2
lekin us shaKhs ko bhulaaye kaun -3
dard apnaataa hai paraaye kaun
aaj phir dil hai kuchh udaas-udaas -2
dekhiye aaj yaad aaye kaun -3
dard apnaataa hai paraaye kaun
kaun suntaa hai aur sunaaye kaun

Sunte hain ke mil jaati hai

Sunte hain ke mil jaati hai
har cheez dua se
Ek roz tumhain maang ke
dekhenge Khuda se

Duniya bhi mili hai,
gham-e-duniya bhi mila hai
Vo kyon nahin milta
jise maanga tha khuda se

Sunte hain ke mil jaati hai
har cheez dua se
Ek roz tumhain maang ke
dekhenge khuda se