Monday, September 24, 2012

Dard Apnaataa Hai Paraaye Kaun


dard apnaataa hai paraaye kaun -2
kaun suntaa hai aur sunaaye kaun -3
kaun dohraaye puraani baaten -2
Gham abhi soyaa hai jagaaye kaun -3
vo jo apne hain, kyaa vo apne hain -2
kaun dukh jhele, aazmaaye kaun -3
ab sukuN hai to bhoolne mein hain -2
lekin us shaKhs ko bhulaaye kaun -3
dard apnaataa hai paraaye kaun
aaj phir dil hai kuchh udaas-udaas -2
dekhiye aaj yaad aaye kaun -3
dard apnaataa hai paraaye kaun
kaun suntaa hai aur sunaaye kaun

Sunte hain ke mil jaati hai

Sunte hain ke mil jaati hai
har cheez dua se
Ek roz tumhain maang ke
dekhenge Khuda se

Duniya bhi mili hai,
gham-e-duniya bhi mila hai
Vo kyon nahin milta
jise maanga tha khuda se

Sunte hain ke mil jaati hai
har cheez dua se
Ek roz tumhain maang ke
dekhenge khuda se

Thursday, September 20, 2012

Ye daulat bhii le lo, Ye shoharat bhii le lo

ye daulat bhii le lo, ye shoharat bhii le lo
bhale chhiin lo mujhase merii javaanii
magar mujhako lautaa do bachapan kaa saavan
vo kaagaz kii kashtii, vo baarish kaa paanii

--Jagjit--
muhalle kii sabase nishaanii puraanii
vo budhiyaa jise bachche kahate the naanii
vo naanii kii baaton mein pariyon kaa deraa
vo chahare kii jhuriryon mein sadiyon kaa pheraa
bhulaae nahiin bhuul sakataa hai koi
vo chhotii sii raaten vo lambii kahaanii

--Chitra--
kadii dhuup mein apane ghar se nikalanaa
vo chidiyaa vo bulabul vo titalii pakadanaa
vo gudiyaa kii shaadii mein ladanaa jhagadanaa
vo jhuulon se giranaa vo gir ke sambhalanaa
vo piital ke chhallon ke pyaare se tohafe
vo tuutii hui chuudiyon kii nishaanii

--Jagjit--
kabhii ret ke unche tiilon pe jaanaa
gharaunde banaanaa banaake mitaanaa
vo maasuum chahat kii tasviir apanii
vo kvaabon khilaunon kii jaagiir apanii
na duniyaa kaa gam thaa na rishton ke bandhan
badii khuubasuurat thii vo zindagaanii

Dost Ban-Banke Mile MuJhko

dost ban-banke mile muJhko mitaane waale
maine dekhe haiN kaI rang badalane waale

tumne chup rehkar sitam aur bhee Dhaayaa mujhpar
tumse achchhe haiN mere haal pe haNsne waale

maiN to ikhalAq ke hathoN hi bikA kartaa hooN
aur hoNge tere baazAr meiN bikne waale

akhree daur pe salaam-e-dil-e-mustar le lo
phir naa lauTenge shab-e-hiJr pe ronewaale

Bahut pehle se un qadmon ki aahaT jaan letey hai

Bahut pehle se un qadmon ki aahaT jaan letey hai
Tujhe ae zindagi hum door se pehchaan letey hain

Tabiyat apni ghabraati hai jab sunsaan raatoN mein
Hum aise mein teri yaadon ki chaadar taan lete hain

Meri nazren to aise qaafiron ka jaan-o-imaan hai
Nigaahen milte hi jo jaam aur imaan lete hain

'firaq' aksar badal kar bhesh milta hai koi qaatil
Kabhi hum jaan lete hian kabhi pehchaan lete hain

Main Bhool JaaooN Tumhen

main bhool jaaooN tumhen -2, ab yahi munaasib hai
main bhool jaaooN tumhen, ab yahi munaasib hai

magar bhulaanaa bhi chaahooN to kis tarah bhoolooN -2
ki tum to phir bhi haqeeqat ho koi Khvaab nahin

yahaaN to dil kaa ye aalam hai kyaa kahooN, kambaKt
bhulaa sakaa naa ye vo silsilaa jo thaa bhi nahin -2

vo ek Khyaal jo aavaaz tak gayaa hi nahin
vo ek baat jo main kah nahin sakaa tumse
vo ek rabt jo ham mein kabhi rahaa hi nahin

mujhe hai yaad vo sab jo kabhi huaa hi nahin
agar ye haal hai dil kaa to koi samjhaaye -2

tumhen bhulaanaa bhi chaahooN to kis tarah bhoolooN
ki tum to phir bhi haqeeqat ho koi Khvaab nahin -3

koee ye kaise bataaye ke wo tanahaa kyon hai


koee ye kaise bataaye ke wo tanahaa kyon hai
wo jo apanaa thaa, wahee aaur kisee kaa kyon hai
yahee duniyaan hain to fir, ayesee ye duniyaan kyon hai
yahee hotaa hain to, aakhir yahee hotaa kyon hai?
ik jaraa haath badhaa de to, pakad le daaman
us ke seene mein samaa jaaye, humaaree dhadakan
itanee kurbat hain to fir faasalaa itanaa kyon hai?
dila-ye-barabaad se nikalaa naheen abatak koee
ik loote ghar pe diyaa karataa hain dastak koee
aas jo toot gayee hain fir se bandhaataa kyon hai?
tum masarrt kaa kaho yaa ise gam kaa rishtaa
kahate hain pyaar kaa rishtaa hain janam kaa rishtaa
hai janam kaa jo ye rishtaa to badalataa kyon hai?

Wednesday, September 19, 2012

Zakhm Jo Aapki Inayat Hai

Zakhm Jo Aapki Inayat Hai Is Nishani Ko Kya Naam Dein Hum, 
Pyar Deewar Banke Reh Gaya Hai Is Kahani Ko Kya Naam Dein Hum, 

Aap Ilzaam Dhar Gaye Hum Par Ek Ehsaan Kar Gaye Hum Par, 
Aap Ki Ye Meherbani Hai Meherbani Ko Kya Naam Dein Hum, 

Aap Ko Yun Hi Zindagi Samajh Dhoop Ko Humne Chandni Samjha, 
Bhool Hi Bhool Jiski Aadat Ek Jawani Ko Kya Naam Dein Hum, 

Raat Sapna Bahar Ka Dekha Din Hua To Gubaar Se Dekha, 
Bewafa WaQt Bezubaan Nikla Bezubani Ko Kya Naam Dein Hum...