Tuesday, October 2, 2012

Tere aane ki jab khabar mehke

     tere aane ki jab khabar mehke
     teri khushboo se saara ghar mehke

     shaam mehke tere tasavvur se
     shaam ke baad fir saHer mehke

     raat bhar sochta raha tuJhko
     zehno-dil mere raat bhar mehke

     yaad aaye to dil munnawar ho
     deed ho jaaye to nazar mehke

     wo ghaDi do ghaDi jahaan baithe
     wo zamiN mehke wo saher mehke

Monday, September 24, 2012

Dard Apnaataa Hai Paraaye Kaun


dard apnaataa hai paraaye kaun -2
kaun suntaa hai aur sunaaye kaun -3
kaun dohraaye puraani baaten -2
Gham abhi soyaa hai jagaaye kaun -3
vo jo apne hain, kyaa vo apne hain -2
kaun dukh jhele, aazmaaye kaun -3
ab sukuN hai to bhoolne mein hain -2
lekin us shaKhs ko bhulaaye kaun -3
dard apnaataa hai paraaye kaun
aaj phir dil hai kuchh udaas-udaas -2
dekhiye aaj yaad aaye kaun -3
dard apnaataa hai paraaye kaun
kaun suntaa hai aur sunaaye kaun

Sunte hain ke mil jaati hai

Sunte hain ke mil jaati hai
har cheez dua se
Ek roz tumhain maang ke
dekhenge Khuda se

Duniya bhi mili hai,
gham-e-duniya bhi mila hai
Vo kyon nahin milta
jise maanga tha khuda se

Sunte hain ke mil jaati hai
har cheez dua se
Ek roz tumhain maang ke
dekhenge khuda se

Thursday, September 20, 2012

Ye daulat bhii le lo, Ye shoharat bhii le lo

ye daulat bhii le lo, ye shoharat bhii le lo
bhale chhiin lo mujhase merii javaanii
magar mujhako lautaa do bachapan kaa saavan
vo kaagaz kii kashtii, vo baarish kaa paanii

--Jagjit--
muhalle kii sabase nishaanii puraanii
vo budhiyaa jise bachche kahate the naanii
vo naanii kii baaton mein pariyon kaa deraa
vo chahare kii jhuriryon mein sadiyon kaa pheraa
bhulaae nahiin bhuul sakataa hai koi
vo chhotii sii raaten vo lambii kahaanii

--Chitra--
kadii dhuup mein apane ghar se nikalanaa
vo chidiyaa vo bulabul vo titalii pakadanaa
vo gudiyaa kii shaadii mein ladanaa jhagadanaa
vo jhuulon se giranaa vo gir ke sambhalanaa
vo piital ke chhallon ke pyaare se tohafe
vo tuutii hui chuudiyon kii nishaanii

--Jagjit--
kabhii ret ke unche tiilon pe jaanaa
gharaunde banaanaa banaake mitaanaa
vo maasuum chahat kii tasviir apanii
vo kvaabon khilaunon kii jaagiir apanii
na duniyaa kaa gam thaa na rishton ke bandhan
badii khuubasuurat thii vo zindagaanii

Dost Ban-Banke Mile MuJhko

dost ban-banke mile muJhko mitaane waale
maine dekhe haiN kaI rang badalane waale

tumne chup rehkar sitam aur bhee Dhaayaa mujhpar
tumse achchhe haiN mere haal pe haNsne waale

maiN to ikhalAq ke hathoN hi bikA kartaa hooN
aur hoNge tere baazAr meiN bikne waale

akhree daur pe salaam-e-dil-e-mustar le lo
phir naa lauTenge shab-e-hiJr pe ronewaale

Bahut pehle se un qadmon ki aahaT jaan letey hai

Bahut pehle se un qadmon ki aahaT jaan letey hai
Tujhe ae zindagi hum door se pehchaan letey hain

Tabiyat apni ghabraati hai jab sunsaan raatoN mein
Hum aise mein teri yaadon ki chaadar taan lete hain

Meri nazren to aise qaafiron ka jaan-o-imaan hai
Nigaahen milte hi jo jaam aur imaan lete hain

'firaq' aksar badal kar bhesh milta hai koi qaatil
Kabhi hum jaan lete hian kabhi pehchaan lete hain

Main Bhool JaaooN Tumhen

main bhool jaaooN tumhen -2, ab yahi munaasib hai
main bhool jaaooN tumhen, ab yahi munaasib hai

magar bhulaanaa bhi chaahooN to kis tarah bhoolooN -2
ki tum to phir bhi haqeeqat ho koi Khvaab nahin

yahaaN to dil kaa ye aalam hai kyaa kahooN, kambaKt
bhulaa sakaa naa ye vo silsilaa jo thaa bhi nahin -2

vo ek Khyaal jo aavaaz tak gayaa hi nahin
vo ek baat jo main kah nahin sakaa tumse
vo ek rabt jo ham mein kabhi rahaa hi nahin

mujhe hai yaad vo sab jo kabhi huaa hi nahin
agar ye haal hai dil kaa to koi samjhaaye -2

tumhen bhulaanaa bhi chaahooN to kis tarah bhoolooN
ki tum to phir bhi haqeeqat ho koi Khvaab nahin -3

koee ye kaise bataaye ke wo tanahaa kyon hai


koee ye kaise bataaye ke wo tanahaa kyon hai
wo jo apanaa thaa, wahee aaur kisee kaa kyon hai
yahee duniyaan hain to fir, ayesee ye duniyaan kyon hai
yahee hotaa hain to, aakhir yahee hotaa kyon hai?
ik jaraa haath badhaa de to, pakad le daaman
us ke seene mein samaa jaaye, humaaree dhadakan
itanee kurbat hain to fir faasalaa itanaa kyon hai?
dila-ye-barabaad se nikalaa naheen abatak koee
ik loote ghar pe diyaa karataa hain dastak koee
aas jo toot gayee hain fir se bandhaataa kyon hai?
tum masarrt kaa kaho yaa ise gam kaa rishtaa
kahate hain pyaar kaa rishtaa hain janam kaa rishtaa
hai janam kaa jo ye rishtaa to badalataa kyon hai?

Wednesday, September 19, 2012

Zakhm Jo Aapki Inayat Hai

Zakhm Jo Aapki Inayat Hai Is Nishani Ko Kya Naam Dein Hum, 
Pyar Deewar Banke Reh Gaya Hai Is Kahani Ko Kya Naam Dein Hum, 

Aap Ilzaam Dhar Gaye Hum Par Ek Ehsaan Kar Gaye Hum Par, 
Aap Ki Ye Meherbani Hai Meherbani Ko Kya Naam Dein Hum, 

Aap Ko Yun Hi Zindagi Samajh Dhoop Ko Humne Chandni Samjha, 
Bhool Hi Bhool Jiski Aadat Ek Jawani Ko Kya Naam Dein Hum, 

Raat Sapna Bahar Ka Dekha Din Hua To Gubaar Se Dekha, 
Bewafa WaQt Bezubaan Nikla Bezubani Ko Kya Naam Dein Hum...

Wednesday, August 29, 2012

Ishq Tumhe Ho Jayega

Mere jaise ban jaoge
Tab ishq tumhe ho jayega
Deewaron se takarooge
Jab ishq tumhe ho jayega

Haar baat gaura kar loge
Mannat bhi utara kar loge
Taabeeze bhi bhandaoge
Jab ishq tumhe ho jayega

Tanhaiye ke jhulle khoolenge
Haar baat purani bhoolonge
Aaine se tum ghabaraoge
Jab ishq tumhe ho jayega

Jab suraj bhi kho jayega
Aur chand kahin soo jayega
Tum bhi ghar dher se aooge
Jab ishq tumhe ho jayega

Bechaini bad jayege
Aur yaad kiski ayegi
Tumhari ghazale gaaoge
Tab ishq tumhe ho jayega

Mere jaise ban jaoge
Tab ishq tumhe ho jayega
Deewaron se takarooge
Jab ishq tumhe ho jayega

Jhuki Jhuki Si Nazar

Jhuki Jhuki Si Nazar Bekraar Hai Ke Nahi
Jhuki Jhuki Si Nazar Bekraar Hai Ke Nahi

Dabaa Dabaa Sa Sahi Dil Me Pyaar Hai Ke Nahi
Jhuki Jhuki Si Nazar!!!!!!!!!!

Tu Apne Dil Ki Jawaan Dhadkanoon Ko Gin Ke Bta
Tu Apne Dil Ki Jawaan Dhadkanoon Ko Gin Ke Bta

Meri Trah Tera Dil Bekraar Hai Ke Nahi
Dabaa Dabaa Sa Sahi Dil Me Pyaar Hai Ke Nahi
Jhuki Jhuki Si Nazar!!!!!!!!!!!!

Wo Pal Ke Jisme Mahoobat Jawan Hoti Hai
Wo Pal Ke Jisme Mahoobat Jawan Hoti Hai

Us Ek Pal Ka Tujhe Intezar Hai Ke Nahi
Dabaa Dabaa Sa Sahi Dil Mein Pyar Hai Ke Nahi
Jhuki Jhuki Si Nazar!!!!!!!!!!!

Teri Umeed Pe Thukraa Raha Hun Duniya Ko
Teri Umeed Pe Thukraa Raha Hun Duniya Ko

Tujhe Apne Pe Ye Aitbaar Hai Ke Nahi

Dabaa Dabaa Sa Sahi Dil Mein Pyar Hai Ke Nahi
Jhuki Jhuki Si Nazar.

Saturday, June 9, 2012

Din Guzar Gaya, Aitbaar Mein

Din Guzar Gaya, Aitbaar Mein
Raat Kat Gayi Intezaar Mein

Wo Maza Kahan Basle Yaat Mein
Lutf Jo Milaa Intezaar Mein

Unki Ik Nazar Kaam Kar Gayi
Hosh Ab Kahan Hoshiyar Mein

Mere Kabze Mein Aaiyeena To Hai
Main Hoon Aapke Ikhtiyaar Mein

Aankh To Uthee Phool Ki Taraf
Dil Ulazh Gaya Husn-haar Mein

Tumse Kya Kahen, Kitne Gam Sahen
Hamne Be-wafa Tere Pyaar Mein

Fikr-e-aashiyaan Har Khizaam Ki
Aashiyaan Jalaa Har Bahaar Mein

Kis Tarah Ye Gham Bhool Jaaye Hum
Wo Juda Hua Ishtihaar Mein

Thursday, June 7, 2012

Yu zindagi ki raah me majboor ho gaye

Yu zindagi ki raah me majboor ho gaye
itne huye kareeb ke hum door ho gaye

aisa naheeN ke humko koi bhee khushi nahiN
lekin ye zindagi to koi zindagi nahiN
kyooN iske faisle hameN manzoor ho gaye

paaya tumHe to humko laga tumko kho diya
hum dil pe roye aur ye dil humpe ro diya
palkoN se khwaab kyooN gire kyooN choor ho gaye

Tuesday, May 29, 2012

Lata and Jagjit


--Lata-- 
Kahin kahin se har chehra - 2 
Everywhere, each face

Tum jaisa lagta hai 
Seems like you

Tumko bhool na paayenge hum 
I will not be able to forget you

Aisa lagta hai, aisa lagta hai 
It seems like this, it seems like this

Oh ho, oh oh, oh ho ho ho, oh 



--Jagjit-- 
Aisa bhi ek rang hai, mm mm mm, oh oh 
There is even such a color

Aisa bhi ek rang hai 
There is even such a color

Jo karta hai baatein bhi 
That tells me something

Jo bhi isko pehn le 
Whoever wears this color

Voh apna sa lagta hai 
That person seems like you

Tumko bhool na paayenge hum 
I will not be able to forget you

Aisa lagta hai 
It seems like this

Kahin kahin se har chehra 
Everywhere, each face

Tum jaisa lagta hai 
Seems like you

Tumko bhool na paayenge hum 
I will not be able to forget you

Aisa lagta hai, aisa lagta hai 
It seems like this, it seems like this




--Lata 2-- 
Sa sa sa ga ga ga ga pa pa pa, aah - 2 
Re re re re re ma

Ma pa ga, ga ma re, re ga sa 



Aur to sab kuch theek hai lekin - 2 
Everything else is fine, but

Kabhi kabhi yunhi chalta phirta shaher 
At times, just like that, this busy town

Achaanak, achaanak tanha lagta hai 
Suddenly seems so empty

Tumko bhool na paayenge hum 
I will not be able to forget you

Aisa lagta hai 
It seems like this

Kahin kahin se har chehra 
Everywhere, each face

Tum jaisa lagta hai 
Seems like you

Tumko bhool na paayenge hum 
I will not be able to forget you

Aisa lagta hai, aisa lagta hai 
It seems like this, it seems like this




--Lata 1-- 
Abhi yun milte hain humse phool chameli 
Now I encounter these jasmine flowers like this

Jaise inse apna koi 
As though with them

Jaise inse apna koi rishta lagta hai 
As though with them I have some sort of relation

Tumko bhool na paayenge hum 
I will not be able to forget you

Aisa lagta hai 
It seems like this

Kahin kahin se har chehra 
Everywhere, each face

Tum jaisa lagta hai 
Seems like you

Tumko bhool na paayenge hum 
I will not be able to forget you

Aisa lagta hai, aisa lagta hai 
It seems like this, it seems like this

Oh ho, aah aah aah, oh ho ho ho ho, oh 
Oh oh, aah aah aah aah




Saturday, May 26, 2012

Thukrao ab k payar karo main nashe main hoon

Thukrao ab k payar karo main nashe main hoon
jo chaho mere yaar karo main nashe main hoon


ab bhi dila raha hoon yaqeen e wafa magar
mera na aetbaar karo main nashe main hoon


girne do tum mujhe mera sagar sanbhal lo
itna to mere yaar karo main nashe main hoon


mujh ko qadam qadam pe bhatakne do waizoo
tum apna karobaar karo main nashe main hoon


phir be khudi main had se guzrne laga hoon main
itna na mujhe se payar karo main nashe main hoon

Thursday, May 24, 2012

Kabhi Khamosh Baithoge


kabhi khomosh baithogey,
kabhi kuch gungunaoge
mai utna yaad aaonga mujhe jitna bhulaoge koi jub pooch baitheyga,
khamoshi ka shabab tumsebahut samjhana chaogey ,
magar samjha na paogemai utna...........kabhi duniya muqammal banke aaygi nighao maikabhi meri kami duniya ki har ik shay mai paogemai utna.........kahi par bhi rahe hum tum mohabbat fir mohbbat hai
tumhey hum yaad aayge ,humey tum yaad aaoge.mai utna..............

Dekhke Tumko Hosh Mein Aana

Dekhke tumko hosh mein aana bhool gaye 
Yaad rahe tum aur zamaana bhool gaye 
Chorus: hm mm, hm mm mm mm (humming*) 
Asha: jab saamne tum 
Chorus: hm mm, hm mm mm mm 
Asha: 
Jab saamne tum, aa jaate ho 
Kya jaaniye kya ho jaata hai 
Kuchh mil jaata hai, kuchh kho jaata hai 
Kya jaaniye kya ho jaata hai 
Chorus: hm mm, hm mm mm mm -2 
Asha: 
Chaaha tha yeh kahenge 
Socha tha socha tha woh kahenge 
Aaye woh saamne to, kuchh bhi na keh sake 
Bas dekha kiye unhein ham 
Jagjit: 
Dekh kar tujhko yakeen hota hai -2 
Koi itna bhi haseen hota hai 
Dekh paate hain kahan ham tumko dil kahin hosh kahin hota hai 
Asha: jab saamne tum 
Chorus: hm mm, hm mm mm mm 
Asha: 
Ho jab saamne tum, aa jaate ho 
Kya jaaniye kya ho jaata hai 
Kuchh mil jaata hai, kuchh kho jaata hai 
Kya jaaniye kya ho jaata hai 
Chorus: hm mm mm mm mm mm, hm mm mm mm mm 
Asha: ha haa haa haa, ho 
Chorus: hm mm, hm mm mm mm -2 
Asha: 
Aa kar chale na jaana, aise nahin sataana 
De kar hansi labon ko, aankhon ko mar rulaana 
Dena na beqaraari dil ka karaar ban ke 
Yaadon mein kho na jaana tum intezaar ban ke, intezar ban ke 
Jagjit: 
Bhool kar tumko na jee payenge -2 
Saath tum hogi jahan jayenge 
Ham koi waqt nahin hain hamdam 
Jab bulaaoge chale aayenge 
Chorus: hm mm, hm mm mm mm -2 
Asha: jab saamne tum 
Chorus: hm mm, hm mm mm mm 
Asha: 
Haa haa jab saamne tum, aa jaate ho 
Kya jaaniye kya ho jaata hai 
Kuchh mil jaata hai, kuchh kho jaata hai 
Kya jaaniye kya ho jaata hai fja